"Na kisi ki aankh ka noor hoon, na kisi ke dil ka qaraar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake main wo ek musht-e-Gubaar hoon
Na to main kisi ka habib hoon, no to main kisi ka raqeeb hoon
Jo bigad gaya wo naseeb hoon, jo ujaad gaya wo dayaar hoon
Mera rang-roop bigad gaya, mera yaar mujh se bichhad gaya
Jo chaman fizaan mein ujad gaya main usi ki fasl-e-bahaar hoon
Paye faatehaa koi aaye kyun, koi chaar phool chadhaaye kyun
Koi aake shammaa jalaye kyun, main wo bekasi ka mazaar hoon"
- Bahadur Shah 'Zafar'
(Last Mughal King of India)
Meanings:
Noor : Bright, Light, Luminescence, Luster
Qaraar : Ease, Patience, Quietude, Repose, Residence
Gubaar : Dust
Habib : Beloved, Sweetheart, Comrade, Friend
Raqeeb : Rival, Competitor, Opponent, Enemy
Dayaar : Place, Residence
Bekasi : Despair, Helplessness
Mazaar : Mausoleum, Shrine, Tomb, Grave
lagta nahin hai dil mera ujray dayar main
kis kee banee hai aalam-e-na paedaar main
kis kee banee hai aalam-e-na paedaar main
umr-e-daraaz maang ker laye the chaar din
do arzoo main kat gaye, do intezar main
in hasraton se keh do, kahin or ja basain
itni jaga kahan hai dil-e-daaghdar main
kitna hai badnaseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar main
- Bahadur Shah 'Zafar'
(Last Mughal King of India)
(Last Mughal King of India)
Meanings:
Aalam-e-na paedaar : Mortal Universe
Umr-e-daraaz : Longlife
Hasarat : Desire, Intense Sorrow, Longing, Regret, Wish, Yearning
Dafn : Burial, Concealment
Koo-e-yaar : Lover's street